Saudi Arabia Me Eid ka chand dikha ki Nahi 2014?

Saudi Arabia Me Eid ka chand dikha ki Nahi 2014?


Ajj sab logo ko yahi janna hai ki eid ka chand dikha ya nahi Saudi Arabia main. kyu ki humesha Saudi Arabia main eid ek din pehle manayi jati hai india aur Pakistan se ya yu keh le ki asian countries se. Ye ek geographical reason hota hai aur humare Islamic calendar ke mutabic Saudi Arabia humesha ek din agey chalta hai. Isliye Indian and Pakistani aksar chand naa dikhne pad yahi pta lagane ki kosish karte hai ki ei ka chand dikha ya nahi aur kya aaj Saudi Arabia main eid mania gayi hai. Saudi Arabia UAE (United Arab Emirates) ka ek hissa hai aur isme kai countries aati hai jese ke Dubai, Abu dhabi, ajman, Fujairah, Ras al-khaimah, Sharjah, Umm al Quwain.

Halki ek Pakistani new website ne ye news di hai ki Pakistan main eid Monday ko manai jayegi. Par india main sirf do din ke chances hai Tuesday and Wednesday yani 29 July ya phir 30 July kyo ki Ramadan ka pehla roza 30 June 2014 ko suru hua tha. Ye sidhi si bat hai eid ya to 29 ka chand dekh kar manai jati hai ya phir 30 ka chand dekh kar manai jati hai. Aur agar india main agar 29 ka chand dekha gaya to eid Tuesday ko yahi 29 July 2014 ko manai jayegi warna 30 July 2014 ko to besak eid-ul-fitr ki namaz padi jayegi.



Aksar logo ko eid ki namaz padne main galtiya ho jati hai kyo ki ye pure saal main sirf do bar padi jati hai ek to Eid-ul-fitr main aur dusri eid-ul-Adha main. To dosto main apke liye eid ki namaz ka tarika hindi main publish karne jaa raha hu. Agar mujse bhi koi galti ho jayeg to muje maaf kar dena aur Allah se eid ki namaz main mere liye bhi dua kar dena ki meri ek jayaz tamanna hai wo puri ho jaye.

Eid ki Namaz ka tarika Sunio ke Liye

  • Eid ki Namaz main 2 rakat hoti hai
  • Pehle App Niyyat kare aur tab Imam 4 Takbeer bolenge.
  • Apko 3 bar apne haat kaano tak la kar niche chor dene hai aur akhiri bar yahi 4 takbeer main hatho ko bandh lena hai jese ki hum namaz main niyat bandhte hai.
  • Aese hi Dusri Rakat namaz main karna hai.
  • Aur sabse akhri main Salam pherene ke badh Khutba Tup tap itminan se sune. Phir Sabse gale mile aur Mubarak bad de.

Hum Abhi sahi tor se Eid ka Chand dikha ya nahi aur Kya Saudi Arabia main eid Ajj manai gayi hai ya nahi pta laga rahe hai. Aur bohat hi jald app logo ki khidmat main ye Khuskabri pohchane ki koshis karenge, ki kal eid hogi. 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Powered by Blogger.